Arshe Azam Ka Doolha
(Groom of the 7th Heaven)
aaa (Sufi chants)
mohammad nakhuda hein jab unhein kahiyeh to kia kahiyeh
do alam ke nigehban aur fakhr-e-ambiya kahiyeh
azmat-e-shah-e-wala bari cheez hai
arsh-e-azam ka dulha bari cheez hai
jalte hein jibrael ke par jiss maqam per
uski haqeeqaton se shanasa wohi to hai
//arsh-e-azam ka dulha bari cheez hai aaa
ibn-e-yaqoob ko allah ne surat bakhshi
her nabi ko koi izzat koi azmat bakhshi
aur eesa ko masihae ki dolat bakhshi
meri sirkar ko bepardah ziarat bakhshi
//arsh-e-azam ka dulha bari cheez hai aaa
yoon to sare nabi mohtaram hein magar
//arsh-e-azam ka dulha bari cheez hai
yoon to eesa bhi hein mosa bhi hein yousuf bhi magar
//arsh-e-azam ka dulha bari cheez hai aaa
ey farishto wo sultan-e-mairaj hein
tum jo dekho gay hairan ho jao gay
zulf tafseer-e-wallail bun jaye gi
chehra quran sara nazar aaye ga
//arsh-e-azam ka dulha bari cheez hai aaa
alam usay sajda kare
arsh-e-bareen dar per jhuke
shah-e-arab mehboob-e-rab
kiss shan ka mehmaan hai
//arsh-e-azam ka dulha bari cheez hai aaa
azmat-e-shah-e-wala bari cheez hai
arsh-e-azam ka dulha bari cheez hai
rahbar-e-deen-o-dunya bari cheez hai
shan-e-sirkar-e-badha bari cheez hai
dono alam ka aaqa bari cheez hai
//dono alam ka aaqa mohammad kamli wala aaa
imam-ul-mursalin kahiyeh ke mehboob-e-khuda kahiyeh
gunaahgaro ki khatir shafa e rooz e jaza kahiyeh
khuda ne khud pukara hai imam-ul-musralin keh ker
zabaan per naam jab aaye to phir salle ala kahiyeh
//mohammad kamli wala dono alam ka aaka mohammad kamli wala aaa
darood un per salaam un per nabuwwat khatam un per
unhein shams ud doha kahiyeh unhein badr ud duja kahiyeh
//mohammad kamli wala dono alam ka aaka mohammad kamli wala aaa
mohammad mustafa ko zaat e haq ka aina kahiyeh
unhe ko ibtida kahiyeh unhe ko intiha kahiyeh
//mohammad kamli wala dono alam ka aaka mohammad kamli wala aaa
wo her tareef se afzal wo her tauseef se wala
shah-e-her-do-sara kahiyeh ke mehboob-e-khuda kahiyeh
//mohammad kamli wala dono alam ka aaka mohammad kamli wala aaa
shams ud doha badr ud duja noor ul huda khair ul wara
wo azmat e insaan hai wo zeenat e quran hai
//mohammad kamli wala dono alam ka aaka mohammad kamli wala aaa
izzat o jah o sarwat koi shai nahi
sare alam ki daulat koi shai nahi
taaj o takht o hakomat koi shai nahi
raaj walo ki naimat koi shai nahi
//kamli wale ka sadqa bari cheez hai aaa
mut dehr ke sagan-e-kamina se bheek maang
her waqt tajdar-e-madina se bheek maang
//bari cheez hai kamli wale ka sadqa bari cheez hai aaa
chand taro mei yeh shan-o-shoukat kahan
ghuncha-o-gul mein aise haqiqat kahan
lal-o-gouhar ki yeh qadr-o-qeemat kahan
meri loh-e-jabeen ki yeh qismat kahan
//unki khak e tafepan? bari cheez hai aaa
mere dawar mujhe aur kia chahiyeh is se barh ker mujhe aur kia chahiyeh
ey munawwar mujhe aur kia chaiyeh rooz e mehshar mujhe kia chahiyeh
//mustafa ka sahara bari cheez hai aaa
bekason ko bhala aur kia chaiyeh astan e habib e khuda chaiyeh
ik jabeen e aqidat ko kia chaiyeh naqsh e pae habib e khuda chaiyeh
ik gunahgar ko aur kia chaiyeh shah e qounain ka aasra chaiyeh
//mustafa ka sahara bari cheez hai aaa
kashti ki baat hai na kinare ki baat hai
something ke nakhuda ke sahare ki baat hai
hum se gunahgaro ki bakhsish baroz e hashar
aaqa ke aik adna ishare ki baat hai
//mustafa ka sahara bari cheez hai aaa
mere haal per kisi ka yeh karam nahi to kia hai
jahan na o dagmagai waheen aa gaya kinara
mujhe aap se hai nisbat to jahan e rang o bo mein
mujhe kia gharaz ke dhondo kisi ghair ka sahara
//mustafa ka sahara bari cheez hai aaa
ey sahib e kashti fikr na ker sirkar madad ko ain ge
toofano ke rukh phir jate hein jab unki inayat hoti hai
//mustafa ka sahara bari cheez hai aaa
rooz-e-mehshar mujhe aur kia chaiyeh
mustafa ka sahara bari cheez hai
azmat-e-shah-e-wala bari cheez hai
azmat-e-shah-e-wala bari cheez ha
0 Comments