Ticker

6/recent/ticker-posts

Header Ads Widget

Meri Ankhoon Ko Baksha Hain Ansou


Meri Ankhoon Ko Baksha Hain Ansou


Meri Ankhoon Ko Baksha Hain Ansou
Dil ko Daag-e-Alam Day Gaya Hain

Is Inayat Pa Qurban Jaown
Piyar Manga Tha Ghum Day Gaya Hain
Ye Kha Kar Diya Meri Kismat main Nalay
Tumahri Amanat Tumahra Hawalay

On Ke Furqat Koi Nonso-Hungum na raha
Ek Shab-e-Ghum Hai Jo Tanha Mera Ghar hoti Hai
Zamanay Pe On Ka Karam Dekhta Hain
Magar Apni Kismat Ko Hum dekhtay Hain

Hai Hamara He Dil Dewana Jholiya Bher Ka On Ko Piyar Diya
On Sa Shikwa Nahi Magar Dekho Dil Diya Wo Bhi Bakarar Diya
Waffaon Ka Badlaay Jafaa Kar Raha Hain
Main Kya Kar Raha Hon Wo Kya Kar Raha Hain

Chain Louta Dil Mera Veran Kiya
Bus Bigara Hai Sanwara Kuch Nahi
Phair Detay Hain Nazar Dil Sa Bhula Deta Hain
Kya Yuun He Log Muhabat Ka Sila Deta Hai

Is Inayat Pa Qurban Jaown
Piyar Manga tha Ghum Day Gaya Hain

Dena Aya Tha Hum Ko Tasali
Wo Tasli Tu Kya Hum Ko Deta
Toor Karta Dil Baaya Dil Hamara
Hasratoon Ka Sanam Day Gaya Hain

Dil Dhrakta Hai Faryad Karna
Ankh Darti hain Ansou Bahatay
Asi Ulfat Sa Wo Jatay Jatay
Mujha Apni Kasam Da Gaya Hain

Siskiyan Dharkanay Ahozari
Baakse Baakali Baakararee
Dou Ghari ke Mulakat main wo
Kitna Ranj-o-Ghum Day Gaya Hain

Aakar Bhi Tarpata Hain Wo
Ja Kar Bhi Tarpaty Hain
Dou Ghari ke Mulakat main wo
Kitna Ranj-o-Ghum Day Gaya Hain

Marhaba Main Kashon Ka Muqadar
Ab Tu Pena Ibadat Hai Anawar
Ajj Randoo Ko Pee Na Ke Dawat
Waiz-e-Mutharm Day Gaya Hain

Meri Ankhoon Ko Baksha Hain Ansou
Dil ko Daag-e-Alam Day Gaya Hain

Post a Comment

0 Comments