Dil pe choot lagti he un k muskurane se
Ho sake tu aa jao ab kisi bahane se
Tere begar dil mera ujra howa diyar hai
Sabir he may he abr he bagh e bahar hai
Aya dost ab tu sirf tera intezar he
Her lamha zindagi ka mujhe na gawar hai
Aa jao zindagi ka kaha aetebar hai
Sama suhana he sawan he mi barasta he
Dil mera kat k udasi ko nikalo
Sawan aya badal chaye bulbul chehki phool khile
Aane wale sb aa puhanche sajan tum kab aop ge
Nafasen jawab de gai tor raha he dam koi
Apne mariz e hijar se ab tu na be niaz ho
Yun zindagi guzar raha ho me tere begar
Kese koi gunah kiye ja raha ho me
Tarap uthti he dil me chasham se chashmay ubalte hain
Khuda shahid shab e furqat me jo nalay nikalte hain
Muj ko ab uthao na apne aastane se
Tere pas aye hain rooth ker zamane se
Aaj apne gulshan ka rang hi nirala he
Urr chuka he phoolo ka rang un k jane se
Un ko bhool jane ka dil kahan se lao me
Me jitna bhoolta ho us qadar wo yaad ate hain
He kitna ikhtiyar un ko he kitni bebasi apni
Un ko bhool jane ka dil kahan se lao me
Na ker mujhe sharam sar nasah
Me dil se majbor ho k jis ka he yun tu
Kon o makan pe kabo mgr mohabat pe bs ni he
Mohabat insan ki he fitrat kahan he imkan e tark e ulfat
Wo or b yaad aa rhe hain me un ko jitna bhula raha ho
Aag ye bharakti he or b bhujane se
Ae qamar kisi ko b haal e dil na batlao
Zakhm or barhta he dekhne dikhane se
Dil pe choot lagti he un k muskurane se
0 Comments