Ticker

6/recent/ticker-posts

Header Ads Widget

Hisaab Umar Ka Itna Sa Goshwara


Hisaab Umar Ka Itna Sa Goshwara

hisaab-e-umer ka itna sa goshwara hey
hisaab-e-umer ka itna sa goshwara hey
tumhaien nikal ke deekha to sub khasara hey
hisaab-e-umer ka itna sa goshwara hey

woh kiya wisal ka lamha tha jis kay nashay main
woh kiya wisal ka lamha tha jis kay nashay main
tamam umer ke furqat humaien gawara hey
hisaab-e-umer ka itna sa goshwara hey
tumhaien nikal ke deekha to sub khasara hey
hisaab-e-umer ka itna sa goshwara hey

ajab asool hain is karobar-e-duniya kay
ajab asool hain is karobar-e-duniya kay
kise ka qarz kise aur ney utara hey
kise ka qarz kise aur ney utara hey

yeh do kanaray to dariya kay ho gaye hum tum
yeh do kanaray to dariya kay ho gaye hum tum
magar woh koun hey jo teesra kanara hey
hisaab-e-umer ka itna sa goshwara hey
tumhaien nikal ke deekha to sub khasara hey
hisaab-e-umer ka itna sa goshwara hey

Post a Comment

0 Comments