Ticker

6/recent/ticker-posts

Header Ads Widget

Kali Kali Zulfon Ke Phande Na Dalo


Kali Kali Zulfon Ke Phande Na Dalo

Aaa

Husn Wale Wafa Nahi Karte
Ishq Wale Daga Nahi Karte

Zulm Karna To Inki Aadat Hai
Yeh Kisi Ka Bhala Nahi Karte

Jo Nazar Aar Paar Ho Jaye
Wohi Dil Ka Qaraar Ho Jaye

Apni Zulfon Ka Daal Do Saya
Teergi Khushgawar Ho Jaye

Teri Nazron Ko Dekh Paye Agar
Shaikh Bhi Mai'gusaar Ho Jaye

Tujh Ko Daikhe Jo Ik Nazar Wo Rung
Chand Bhi Sharam Saar Ho Jaye

Aaina Apne Samnay Se Hata
Yeh Na Ho Khud Se Pyar Ho Jaye

Bhol Ho Jati Hai Yoon Taish Mei Aaya Na Karo
Faasle Khatam Karo Baat Barhaya Na Karo

Yeh Nigahein, Yeh Ishare, Yeh Adaein Tauba
In Sharaboon Ko Sir-E-Aam Lutaya Na Karo

Shaam Gehri Ho To Kuch Aur Haseen Hoti Hai
Saya-E-Zulf Ko Chehre Se Hataya Na Karo

Kali Kali Zulfoon Ke Phanday Na Dalo
Hamein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo

Na Chay'ro Hamein, Hum Sata’ay Hoa’ay Hein
Bohot Zakhm Seenay Pay Kha’ay Hoa’ay Hein

Sitam Gar Ho Tum, Khoob Pehchantay Hein
Tumhari Adaoon Ko Hum Jantay Hein

Daga Baaz Ho Tum Sitam Dhanay Walay
Faray’bay Mohabat Mein Uljhanay Walay

Yeah Rangeen Kahani Tumhe Ko Mubarak
Tumhari Jawani Tumhe Ko Mubarak

Hamari Taraf Say Nigahein Hata Lo
Hamein Zinda Rehnay Do Ay Husn Walo

Kali Kali Zulfoon Ke Phanday Na Dalo
Hamein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo

Zangeer Mein Zulfoon Ki Phans Janay Ko Kia Kahiyeh
Deewana Mera Dil Hai, Deewanay Ko Kia Kahiyeh

Kali Kali Zulfoon Ke Phanday Na Dalo
Hamein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo

Vocables... (3-4 Minz)

Kali Kali Zulfoon Ke Phanday Na Dalo
Hamein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo

Sambhalo Zara Apna Aanchal Gulabi
Dikhao Na Hans Hans Ke Aankhein Sharabi

Sulook Inka Dunya Mei Acha Nahi Hai
Haseeno Pe Hum Ko Bharosa Nahi Hai

Utha'tay Hein Nazrein To Girti Hai Bijli
Adaa Jo Bhi Nikli, Qayamat He Nikli

Jahaan Tum Ne Chehre Se Aanchal Hataya
Waheen Ehl-E-Dil Ko Tamasha Banaya

Khuda Ke Liyeh Hum Pe Dorein Na Dalo
Hamein Zinda Rehne Do Ey Husn Walo

Kali Kali Zulfoon Ke Phanday Na Dalo
Hamein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo

Aaa... (Chants)

Kali Kali Zulfoon Ke Phanday Na Dalo
Hamein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo

Vocables...

Kali Kali Zulfoon Ke Phanday Na Dalo
Hamein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo

Aawara Howi Jaati Hein Zulfoon Ko Sambhalo
Dil Mera Ulajh Jaye Ga Yeh Jaal Na Dalo

Kali Kali Zulfoon Ke Phanday Na Dalo
Hamein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo

Aaa...

Kali Kali Zulfoon Ke Phanday Na Dalo
Hamein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo

Apni Is Zulf-E-Pareshaan Ko Sambhalo Warna
Aise Gustaakh Ko Hum Choom Lia Karte Hein

Kali Kali Zulfoon Ke Phanday Na Dalo
Hamein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo

Uljha Hai Paaon Yaar Ka Zulf-E-Daraaz Mein
Lo Aap Apne Daam Mei Sayyad Aa Gaya

Kali Kali Zulfoon Ke Phanday Na Dalo
Hamein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo

Vocables...

Kali Kali Zulfoon Ke Phanday Na Dalo
Hamein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo

Aaa...

Kali Kali Zulfoon Ke Phanday Na Dalo
Hamein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo

Vocables... Chants (2-3 Minz Of Nusrat And Farrukh)

Kali Kali Zulfoon Ke Phanday Na Dalo
Hamein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo

Sadawaar Karte Ho T?Deg-E-Jafa Ka
Bahate Ho Tum Khoon Ehl-E-Wafa Ka

Yeh Nagan Si Zulfein, Yeh Zehreli Nazrein
Wo Pani Na Mange Yeh Jiss Ko Bhi Das Le

Wo Lut Jaye Jo Tumse Dil Ko Laga Le
Phire Hasratoon Ka Janaza Uthaye

Hai Maloom Hum Ko Tumhari Haqiqat
Mohabbat Ke Parde Mei Karte Ho Nafrat

Kaheen Aur Ja Ke Adaein Uchalo
Hamein Zinda Rehne Do Ey Husn Walo

Aaa...

Kali Kali Zulfoon Ke Phanday Na Dalo
Hamein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo

Vocables...

Kali Kali Zulfoon Ke Phanday Na Dalo
Hamein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo

Yeh Jhoti Numaish Yeh Jhoti Banawat
Fareb E Nazar Hai Nazar Ki Lagawat

Yeh Sumbal Se Gesu, Yeh Aariz Gulabi
Zamane Milaein Gay Ik Din Kharabi

Fana Hum Ko Kar Dena Yeh Muskarana
Ada Kafirana Chalan Zalimana

Dikhao Na Yeh Ishwa-O-Naz Hum Ko
Sikhao Na Ulfat Ke Andaaz Hum Ko

Kisi Aur Per Zulf Ka Jaal Dalo
Hamein Zinda Rehne Do Ey Husn Walo

Kali Kali Zulfoon Ke Phanday Na Dalo
Hamein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo

Apni Zulfon Ka Prudah Bana Lijiyeh
Husne Masoom Ub Fitnagar Ho Gaya

Palkein Gir Jaye Gi, Door Jal Jaye Ga
Rukh Tumhari Nazar Ka Jidhar Ho Gaya

Hamein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo
Hamein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo...

Post a Comment

0 Comments