Ticker

6/recent/ticker-posts

Header Ads Widget

Sadgi To Hamari Zara Dekhiye


Sadgi To Hamari Zara Dekhiyeh

Saadagi to hamari zara dekhiye
Aitebar aapke waade per kar liya
Saadagi to hamari zara dekhiye
Aitebar aapke waade per kar liya

Masti mein ik haseen ko khuda keh gaay hein hum
Jo kuch bhi keh ga'ay hein baja keh ga'ay hein hum
Sadgi to hamari zara dekhiyeh
Aaa sadgi to hamari zara dekhiyeh

Is sadgi say tujh ko khuda keh ga'ay hein hum
sadgi to hamari zara dekhiyeh
sadgi to hamari zara dekhiyeh

Kiss chop kiss tamanna kis darja sadgi say
Hum aap ki shikayat karte hein aap he say
sadgi to hamari zara dekhiyeh
sadgi to hamari zara dekhiyeh

Tere ata ki rodaad ho ga'ay hein hum
Baray khuloos say barbaad ho ga'ay hein hum
sadgi to hamari zara dekhiyeh
sadgi to hamari zara dekhiyeh

Sadgi to hamari zara daikh'iyeh
Aitbaar aapke vaade par kar liya
Baat to sirf ik raat ki thi magar
Intizaar aap ka umar bhar ker lia

Ishq mein uljhanein pehle he kam na thi
Aur pedaan aakar sir ker liya
Loag dartay hein qatil ki parchaiyen say
Hum ne qatil ke dil mein bhi ghar ker lia

Zikr ik bewafa aur sitamgar ka tha
Shikwa kia sitam ka to
Tum to zara si baat per ranjida ho ga'ay
Zikr ik bewafa aur sitamgar ka tha

Tera zulm nahi hai shamal gar meri barbadi mein
Phir yeh aankhein bheeg rahi hein kiyoon mere afsanay say
Zikr ik bewafa aur sitamgar ka tha
zikr ik bewafa aur sitamgar ka tha

Meri halat daikh ker tum kiyoon pareshaan ho ga'ay
Zikr ik bewafa aur sitamgar ka tha
vocables
zikr ik bewafa aur sitamgar ka tha

Zikr ik bewafa aur sitamgar ka tha
Aap ka aise baaton say kia wasta
Aap to bewafa aur sitamgar nahi
Aap ne kiss liyeh mo udhar ker lia

Jab tulu aaftab hota hai gham ke sagir uchal deta hoon
Tazkara jab wafa ka hota hai mein tumhari misaal deta hoon
aap to bewafa aur sitamgar nahi
aap to bewafa aur sitamgar nahi

Kiyoon aankh milayi thi kiyoon aag lagai thi
Ub rukh kiyoon chupa baithay ker ke mujhe deewana
Aap to bewafa aur sitamgar nahi
Aap to bewafa aur sitamgar nahi

Zindagi-bhar ke shikway gilay thay bohot
Waqt itna kahan tha ke dohratay hum
Aik hijki mein keh dali sub dastaan
Hum qissay ko yoon mukhtasar ker lia

Beqarari milay gi milay ga sukoon
Chain chin ja'ay ga neend urh ja'ay gi
Apna anjaam sub hum ko maloom tha
Aap say dil ka sauda magar ker lia

Zindagi ke safar mein bohot door tak
Jab koi dost aaya na hum ko nazar
Hum ne ghabra ke tanhaioon say sada
Aik dushman ko khud humsafar ker lia

Saadagi to hamari zara dekhiye
Aitebar aapke waade per kar liya
Saadagi to hamari zara dekhiye
Aitebar aapke waade per kar liya

Post a Comment

0 Comments