Aaa (Sufi Chants...)
itna shadeed gham hai ke ehsaas-e-gham nahi
kaisay kahoon ke aap ka mujh pay karam nahi
manzil mujhe milay na milay is per gham nahi
tum saath saath ho mere, yeh bhi to kam nahi
ay aane walay apni jabeen ko jhuka ke aa
yeh aastan-e-yaar hai, sehn-e-haram nahi
jab tak bika na tha to koi poochta na tha
tum ne khareed ker hamein anmol ker diya
banayi mujh benawah ki bigri naseeb mera jaga diya
mere hamid piya
banayi mujh benawah ki bigri naseeb mera jaga diya
mere khwaja hamid piya
banayi mujh benawah ki bigri naseeb mera jaga diya
banayi mujh benawah ki bigri, naseeb mera jaga diya
tere karam pe nisaar tu ne mujhe bhi jeena sikha diya
badal gayi mere dil ki dunya, aata ne wo martaba diya
karam ki aise nigaah dali, gadaa ko sultaan bana diya
badal gayi mere dil ki dunya dil ki dunya mere dil ki dunya
dil ki dunya mere dil ki dunya
dil ki dunya mere dil ki dunya
bus tum he ho tum he ho mere dil ki dunya
tum he ho tum he ho mere dil ki dunya
na fikr-e-alam hai na ehsaas e gham hai
raho tum salamat karam hee karam hai
tum he ho tum he ho mere dil ki dunya
tum he ho tum he ho mere dil ki dunya
mein kya bataoon tamanna e zindagi kya hai
huzoor aap salamat rahein kami kya hai
tum he ho tum he ho mere dil ki dunya
tum he ho tum he ho mere dil ki dunya
husn ki ibtida bhi tum, ishq ki intiha bhi tum
rehne do raaz khul gaya, banday bhi tum khuda bhi tum
tum he ho tum he ho mere dil ki dunya
tum he ho tum he ho mere dil ki dunya
husn ki ibtida bhi tum, ishq ki intiha bhi tum
rehne do raaz khul gaya, banday bhi tum khuda bhi tum
banday bhi tum khuda bhi tum, banday bhi tum khuda bhi tum
banday bhi tum khuda bhi tum, banday bhi tum khuda bhi tum
tum laakh chupo so pardoon mei
mein ne jaan liya pehchaan liya
banday bhi tum khuda bhi tum, banday bhi tum khuda bhi tum
banday bhi tum khuda bhi tum, banday bhi tum khuda bhi tum
...
aashiqe baa-nafa bhi tum, mashooq e dilruba bhi tum
dono taraf ho tum he tum, muddai muda'aa bhi tum
banday bhi tum khuda bhi tum, banday bhi tum khuda bhi tum
banday bhi tum khuda bhi tum, banday bhi tum khuda bhi tum
boul rahi hein saaf saaf aap ki sub yeh sif'atein
arsh pe kibriya bhi tum, farsh pe mustafa bhi tum
ub rehne do raaz khul gaya, banday bhi tum khuda bhi tum
banday bhi tum khuda bhi tum, banday bhi tum khuda bhi tum
ishq ko haasil e qounain bana bethe hein
tere qadmon pe hum sir apna jhuka baithe hein
banday bhi tum khuda bhi tum, banday bhi tum khuda bhi tum
banday bhi tum khuda bhi tum, banday bhi tum khuda bhi tum
jinna ne kaabe nu jana.. jaan pai. mere lai te
banday bhi tum khuda bhi tum, banday bhi tum khuda bhi tum
banday bhi tum khuda bhi tum, banday bhi tum khuda bhi tum
tum he ho tum he ho mere dil ki dunya
tum he ho tum he ho mere dil ki dunya
badl gayi mere dil ki dunya, ataa ne wo martaba diya
karam ki aise nigaah dali, gada ko sultaan bana diya
karam ke saaye mein hum ko rakha, kabhi hirasa na hum howe
hamare sir pe jo dhoop aayi to apna daaman barha diya
yeh inki banda-nawazian hein, jo mujh pe aisa karam keya
bana ke apna faqeer mujh ko, gham e jahaan se chura liya
ghareeb dar dar bhatak rahay thay, kaheen na dil ko sukoon mila
karam kiya tu ne apne dar ko hamara kaaba bana diya
karam kiya tu ne apne dar ko hamara kaaba bana diya
baray shaikh muhammad piya
karam kiya tu ne apne dar ko hamara kaaba bana diya
mere shaikh muhammad piya
karam kiya tu ne apne dar ko hamara kaaba bana diya
mere shaikh muhammad piya
...
wuzoo keya mein ne aasman se, namaaz meri adaa howi
mila jo naqsh e kadam tumhara, to mein ne sir ko jhuka liya
kisi ko dar se na khaali taala, her ik sawali ko bheek di
ghareeb aaye jo aastan pe, karam ka darya bahaa diya

banayi mujh benawah ki bigri naseeb mera jaga diya. Aaa (Sufi Chants)
0 Comments