Ticker

6/recent/ticker-posts

Header Ads Widget

Bujhi Howi Shama Ka Dhuwaan Hoon


Aaa (Sufi Chants)

Raat Yoon Dil Mein Teri Khoyi Howi Yaad Aayi
Jaise Veerane Mein Chupke Say Bahar Aaa Jaye
Jaise Sehreaon Mein Haule Se Chalay Baad-e-Nasim
Jaise Beemar Ko Be-Wajhe Qaraar Aaa Jaye

Kitne Badal Gaye Hein Wo Halaat Ki Tarah
Jab Bhi Milay Hein Pehli Mulaqat Ki Tarah
Teri Jafa Kahoon Ke Inayat Kahoon Isay
Gham Bhi Mila Mujhe Kisi Saughat Ki Tarah

Dil Mein Ghamon Ki Aag Bharakne Lagi To Hum
Roay Hein Phoot Phoot ke Basraat Ki Tarah
Hum Kya Kisi Ke Husn Ka Sadqa Utarte
Ik Zindagi Mili Woh Khairat Ki Tarah

Bujhi Howi Shama Ka Dhuwaan Hoon
Aur Apnay Markaz Ko Ja Raha Hoon
Ke Dil Ki Hasrat To Mit Chuki Hai
Ub Apni Hasti Mita Raha Hoon

Teri Hi Soorat Ke Daikhnay Ko
Butoon Ki Tasveerin La Raha Hoon
Ke Khoobiyaan Sub Ki Jama Ker Ke
Tera Tasawwar Jama Raha Hoon

Kafan Mein Khudh Ko Chupa Liya Hai
Ke Tujh Ko Parday Ki Ho Na Zehmat
Naqaab Apne Liyeh Bana Ker
Hijaab Tera Utha Raha Hoon

Raga

Udhar Wo Ghar Say Nikal Pare Hein
Idhar Mera Dum Nikal Raha Hai
Ellahi Kaise Hai Yeeh Qayamat
Woh Aaa Rahe Hein Mein Ja Raha Hon

Muhabbat Insaan Ki Hai Fitrat
Kahaan Hai Imkaan-E-Tark-E-Ulfat
Woh Aur Bhi Yaad Aa Rahay Hein
Mein Unko Jitna Bhula Raha Hoon

Woh Aa Rahe Hein Mein Ja Raha Hoon
Rooz Kehta Hoon Bohl Jaon Unhein
Rooz Yeh Baat Bhol Jata Hoon Mein
Woh Aaa Rahe Hein Mein Ja Raha Hoon

Woh Aaa Rahe Hein Mein Ja Raha Hoon
Nahi Aati To Unki Yaad Basroon Tak Nahi Aati
Magar Jab Yaad Aatay Hein To Aksar Yaad Aatay Hein
Woh Aaa Rahe Hein Mein Ja Raha Hoon

Zubaan Pe Labbaik Her Nafas Mein
Jabeen Pe Sajda Hai Her Qadam Pe
Yoon Ja Raha But-Kaday Ko Natik
Ke Jaisay Kaabe Ko Ja Raha Hoon...

Post a Comment

0 Comments