Kabhie Dewaar hiltii hai, kabhie daar kaanp jaataa hai
Ali kaa naam sun kar ab bhii Khaibar kaanp jaataa hai
Shaah-e-mardaan Ali, La fata Illah Ali
Shair-e-Yasdan Ali, Ali Ali Maula Ali Ali HaqAli Ali
Tan par Ali, Ali ho zubaan par Ali Ali
Mar jauun to kafan par bhii likhna Ali Ali
Baghair hubb-e-Ali mudd’aa nahin miltaa
Ibaadaton kaa bhi hargiz silaa nahin miltaa
Khudaa ke bandon suno ghaur se Khudaa ki qasam
Jise Ali nahi milte use Khudaa nahi miltaa
Basad talaash na ab kuch vus’at-e-nazar se milaa
Nishaan-e-manzil-e-maqsuud raahbar se milaa
Ali mile to mile Khaana-e-Khudaa saa hamen
Khudaa ko dhundha to wo bhi Ali ke ghar se milaa
Deed Hai daar kii ibaadat, hai ye farmaan-e-nabi
Hai Ali ruuh-e-nabii, jism-e-nabii, jaan-e-nabi
Gul-e-tathir Ali, haq ki shamshir Ali
Piron ke pier Ali, Ali Haq Ali Ali Mula Ali Ali
Dast-e-ilaa kyuun na ho sher-e-Khudaa Ali
Maqsuud har ataa hai shah-e-laa-fataa Ali
Jis tarah ek zaat-e-Muhammad hai be-misaal
Paidaa hu’aa na hogaa koi dousraa Ali
On ke Saim Hia Wildat ke jaghay Haram-e-Kaba
Anakh kholi tu Chera-e-Mohammad dekha
Noor-e-Tathir Ali, Badar-e- Monir Ali
Malik Tathir Ali, Ali Haq Ali Ali Mula Ali Ali
0 Comments