Mast ankho ki qasam khane ka mosam aa gaya
Jaam ko sheeshay se takrany ka mosam aa gaya
Asmat-e-Kaaba ko thukrane ka mosam aa gaya
Aa gaya pee ker behak jane ka mosam aa gaya
Aaj toba ko ghatao k hawale ker do
Toba tu ker chuka tha mgr phr bhi Ae Jalil
Kali ghata ko dekh ker niyat badal gayi
Lutf-e-mae tujh se me kya kaho Zahid
Haye kambakht tu ne pee hi nai
Ae waiza tu sharab pee le na ker tu kuch ijtanab pee le
Me teri mano namaz parh lo tu meri maan ab sharab pee le
Cham cham ker k sawan aaya
Mee kay dar se badi toba
Phir ghata chayi behak jane ka mosam aa gaya
Jaam ka sheeshay ka paimany ka mosam aa gaya
Ye faza ye chandni raaten ye dor-e-jaam hain
Mastiyun me ghark ho jane ka mosam aa gaya
Ho rahi hain jama ik markz pe dil ki wehshaten
Humnasheen shyad bahar aane ka mosam aa gaya
Muskurata he koi chup chup kay dil ki aar me
Hasrato kay raks farmane ka mosam aa gaya
Rafta rafta waqiyat e dard yaad aane lage
Chpuke chupke ashk barsane ka mosam aa gaya
Mast ankho ki qasam khane ka mosam aa gaya..!!
0 Comments